kisi se ishq mera walihana hote hue
kisī se ishq mirā vālihāna hote hue
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ fasāna hote hue
vo telephone kī ghanTī yaqīñ dilātī hai
mire qarīb hai tū ġhā.ebāna hote hue
vo nasl-e-nau ke liye de gayā nayā fashion
maiñ jis libās ko pahnūñ purānā hote hue
mirā raqīb thā jab tak mire qarīb rahā
vo mujh se duur hai ab dostāna hote hue
ye log mujh ko muhibb-e-vatan samajhte nahīñ
mirī zabān pe qaumī tarāna hote hue
vo kaise nashshe kā dil-dāda ho gayā 'ātish'
sharīf jis kā mukammal gharānā hote hue
kisi se ishq mera walihana hote hue
main KHud ko dekh raha hun fasana hote hue
wo telephone ki ghanTi yaqin dilati hai
mere qarib hai tu ghaebana hote hue
wo nasl-e-nau ke liye de gaya naya fashion
main jis libas ko pahnun purana hote hue
mera raqib tha jab tak mere qarib raha
wo mujh se dur hai ab dostana hote hue
ye log mujh ko muhibb-e-watan samajhte nahin
meri zaban pe qaumi tarana hote hue
wo kaise nashshe ka dil-dada ho gaya 'atish'
sharif jis ka mukammal gharana hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.