kisi se itni mohabbat bhi yar Thik nahin
kisī se itnī mohabbat bhī yaar Thiik nahīñ
us ek shaḳhs kā itnā ḳhumār Thiik nahīñ
ye tajraba hai merā mashvara bhī hai tujh ko
mire aziiz dil-e-be-qarār Thiik nahīñ
ye tere jism kī miTTī bahā na Daale kahīñ
hamesha āñkhoñ meñ ye ābshār Thiik nahīñ
jahāñ pe diid ko bas tishnagī rahe baaqī
diloñ kā aisā koī kārobār Thiik nahīñ
maiñ kis tarah se kahūñ us ko vo mujhe chāhe
ta'alluqāt meñ ye iḳhtiyār Thiik nahīñ
vo ham-navā hai mirā dost hai ye maanā magar
dimāġh kahtā hai yuuñ e.atibār Thiik nahīñ
kisi se itni mohabbat bhi yar Thik nahin
us ek shaKHs ka itna KHumar Thik nahin
ye tajraba hai mera mashwara bhi hai tujh ko
mere aziz dil-e-be-qarar Thik nahin
ye tere jism ki miTTi baha na Dale kahin
hamesha aankhon mein ye aabshaar Thik nahin
jahan pe did ko bas tishnagi rahe baqi
dilon ka aisa koi karobar Thik nahin
main kis tarah se kahun us ko wo mujhe chahe
ta'alluqat mein ye iKHtiyar Thik nahin
wo ham-nawa hai mera dost hai ye mana magar
dimagh kahta hai yun eatibar Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.