kisi se kar ke shayad aaj wo takrar baiThe hain
kisī se kar ke shāyad aaj vo takrār baiThe haiñ
jo muñh phere hue vo jānib-e-dīvār baiThe haiñ
udhar vo haiñ ki jo tole hue talvār baiThe haiñ
idhar ham haiñ ki apnī ziist se bezār baiThe haiñ
are vaa.e zamāna tafraqa-andāz hai kyā kyā
idhar do-chār baiThe haiñ udhar do-chār baiThe haiñ
bigaḌtā hai bigaḌ jaa.e sudhartā hai sudhar jaa.e
tirī chaukhaT pe dīvāne muqaddar haar baiThe haiñ
zabāñ se kuchh nahīñ kahte magar sab kuchh samajhte haiñ
inheñ dīvāna mat samjho ye sab hushiyār baiThe haiñ
ḳhudā kā shukr hai 'ejāz' puurī ho ga.ī manzil
hazāroñ baar uTThe haiñ hazāroñ baar baiThe haiñ
kisi se kar ke shayad aaj wo takrar baiThe hain
jo munh phere hue wo jaanib-e-diwar baiThe hain
udhar wo hain ki jo tole hue talwar baiThe hain
idhar hum hain ki apni zist se bezar baiThe hain
are wae zamana tafraqa-andaz hai kya kya
idhar do-chaar baiThe hain udhar do-chaar baiThe hain
bigaDta hai bigaD jae sudharta hai sudhar jae
teri chaukhaT pe diwane muqaddar haar baiThe hain
zaban se kuchh nahin kahte magar sab kuchh samajhte hain
inhen diwana mat samjho ye sab hushiyar baiThe hain
KHuda ka shukr hai 'ejaz' puri ho gai manzil
hazaron bar uTThe hain hazaron bar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.