kisi se raaz-e-mohabbat na aashkar kiya
kisī se rāz-e-mohabbat na āshkār kiyā
tirī nazar ke badalne tak intizār kiyā
na koī va.ada thā un se na koī pābandī
tamām umr magar un kā intizār kiyā
Thahar ke mujh pe hī ahl-e-chaman kī nazroñ ne
mire junūn se andāz-e-bahār kiyā
sahar ke Dūbte taaro gavāh rahnā tum
ki maiñ ne āḳhirī sāñsoñ tak intizār kiyā
jahāñ se terī tavajjoh huī fasāne par
vahīñ se Dūbtī nabzoñ ne iḳhtisār kiyā
yahī nahīñ ki hamīñ intizār karte rahe
kabhī kabhī to unhoñ ne bhī intizār kiyā
kisi se raaz-e-mohabbat na aashkar kiya
teri nazar ke badalne tak intizar kiya
na koi wada tha un se na koi pabandi
tamam umr magar un ka intizar kiya
Thahar ke mujh pe hi ahl-e-chaman ki nazron ne
mere junun se andaz-e-bahaar kiya
sahar ke Dubte taro gawah rahna tum
ki main ne aaKHiri sanson tak intizar kiya
jahan se teri tawajjoh hui fasane par
wahin se Dubti nabzon ne iKHtisar kiya
yahi nahin ki hamin intizar karte rahe
kabhi kabhi to unhon ne bhi intizar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.