kisi se rishta-e-ummid joDta kyon hai
kisī se rishta-e-ummīd joḌtā kyoñ hai
lahū ḳhud apnī ragoñ kā nichoḌtā kyoñ hai
tire mizāj kī ġhaflat kā jā.eza le kar
vo so gayā hai ab us ko jhiñjhoḌtā kyoñ hai
koī lagām to apne bhī haath meñ rakh le
har ik samand ko qismat pe chhoḌtā kyoñ hai
agar tū krishn sā nir-mohī ban nahīñ saktā
to zindagī kī kalā.ī maroḌtā kyoñ hai
ye tere mere sabhī ke gharoñ kī zīnat haiñ
rivāyateñ to haiñ aa.iin toḌtā kyoñ hai
luġhāt-e-dil meñ ḳhudā ke bahut hī ma.anī haiñ
har ek sang pe sar apnā phoḌtā kyoñ hai
kisi se rishta-e-ummid joDta kyon hai
lahu KHud apni ragon ka nichoDta kyon hai
tere mizaj ki ghaflat ka jaeza le kar
wo so gaya hai ab us ko jhinjhoDta kyon hai
koi lagam to apne bhi hath mein rakh le
har ek samand ko qismat pe chhoDta kyon hai
agar tu krishn sa nir-mohi ban nahin sakta
to zindagi ki kalai maroDta kyon hai
ye tere mere sabhi ke gharon ki zinat hain
riwayaten to hain aain toDta kyon hai
lughat-e-dil mein KHuda ke bahut hi mani hain
har ek sang pe sar apna phoDta kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.