kisi subh ka tha manzar sabhi kaam ja rahe the
kisī sub.h kā thā manzar sabhī kaam jā rahe the
baḌe shauq se parinde tah-e-dām jā rahe the
vo judā huā thā jis pal nahīñ bhūltā vo manzar
maiñ vahīñ khaḌā huā thā dar-o-bām jā rahe the
mujhe kuchh burā nahīñ thā tirā bāzuoñ meñ rahnā
mire kaam the zarūrī mire kaam jā rahe the
tire shauq kī havā ne diye zindagī ko mā'ne
mire roz-o-shab to varna baḌe 'aam jā rahe the
maiñ jo baat sochtā thā tirī zaat se juḌī thī
maiñ jo harf likh rahā thā tire naam jā rahe the
kisi subh ka tha manzar sabhi kaam ja rahe the
baDe shauq se parinde tah-e-dam ja rahe the
wo juda hua tha jis pal nahin bhulta wo manzar
main wahin khaDa hua tha dar-o-baam ja rahe the
mujhe kuchh bura nahin tha tera bazuon mein rahna
mere kaam the zaruri mere kaam ja rahe the
tere shauq ki hawa ne diye zindagi ko ma'ne
mere roz-o-shab to warna baDe 'am ja rahe the
main jo baat sochta tha teri zat se juDi thi
main jo harf likh raha tha tere nam ja rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.