kisi surat kami hoti nahin soz-e-nihani mein
kisī sūrat kamī hotī nahīñ soz-e-nihānī meñ
mirī duniyā bahī jaatī hai ashkoñ kī ravānī meñ
navā-sanj-e-fuġhāñ ai bāġhbāñ ye bulbuleñ kyoñ haiñ
bahār aa.ī hai kaisī tere daur-e-bāġhbānī meñ
ḳhirad vaalo idhar aao yahāñ baiTho mujhe dekho
ki kaisā mutma.in huuñ maiñ junūñ kī hukmrānī meñ
mirā ḳhūn-e-tamannā ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-vafā le kar
jo rang-āmeziyāñ chāho karo apnī kahānī meñ
tapish se dil kī lau dene lage aañsū sar-e-mizhgāñ
tamāshā dekh lo aakar lagī hai aag paanī meñ
abhī kuchh phīkī phīkī sī hai rūdād-e-ġham-e-jānāñ
vo sun leñge to jaan aa jā.egī puurī kahānī meñ
kahāñ kā husn kaisā ishq itnā yaad hai mujh ko
ki ik uljhā huā sā ḳhvāb dekhā thā javānī meñ
na jaane kyoñ mujhe vo apnā dīvāna samajh baiThe
jab un kā naam tak aayā na thā merī kahānī meñ
kisi surat kami hoti nahin soz-e-nihani mein
meri duniya bahi jati hai ashkon ki rawani mein
nawa-sanj-e-fughan ai baghban ye bulbulen kyon hain
bahaar aai hai kaisi tere daur-e-baghbani mein
KHirad walo idhar aao yahan baiTho mujhe dekho
ki kaisa mutmain hun main junun ki hukmrani mein
mera KHun-e-tamanna KHun-e-dil KHun-e-wafa le kar
jo rang-ameziyan chaho karo apni kahani mein
tapish se dil ki lau dene lage aansu sar-e-mizhgan
tamasha dekh lo aakar lagi hai aag pani mein
abhi kuchh phiki phiki si hai rudad-e-gham-e-jaanan
wo sun lenge to jaan aa jaegi puri kahani mein
kahan ka husn kaisa ishq itna yaad hai mujh ko
ki ek uljha hua sa KHwab dekha tha jawani mein
na jaane kyon mujhe wo apna diwana samajh baiThe
jab un ka nam tak aaya na tha meri kahani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.