kisi surat muqaddar se pareshani nahin jati
kisī sūrat muqaddar se pareshānī nahīñ jaatī
haqīqat vo haqīqat hai ki jo jaanī nahīñ jaatī
adū kī laġhv-goī ne kuchh aisā kar diyā barham
hamārī sāf-sīdhī baat bhī maanī nahīñ jaatī
hamārā rāz-e-dil hī kyā vo tum par āshkāra hai
haqīqat aap ke dil kī magar jaanī nahīñ jaatī
sar-e-maqtal taḌaptā dekh kar vo tilmilā uTThe
sitam ke baad ab un kī pashemānī nahīñ jaatī
kisī āshiq ke dil se pūchhiye sar-garmī-e-ulfat
hazāroñ mushkileñ hoñ phir bhī jaulānī nahīñ jaatī
junūn-e-ishq-e-kāmil meñ ye parvāne kī aadat hai
subūt-e-ishq-e-kāmil kī vo qurbānī nahīñ jaatī
jo sūrat koī bahr-e-ishq meñ aa.ī nazar ham ko
kuchh aisī masḳh ho jaatī hai pahchānī nahīñ jaatī
hamārī quvvat-e-bardāsht kī parvāh kyā un ko
sitam karne kī aadat hai sitam-rānī nahīñ jaatī
are 'ġham' mushkileñ to ishq kī rāhoñ meñ haiñ lekin
hai in meñ kaun kitnī saḳht gardānī nahīñ jaatī
kisi surat muqaddar se pareshani nahin jati
haqiqat wo haqiqat hai ki jo jaani nahin jati
adu ki laghw-goi ne kuchh aisa kar diya barham
hamari saf-sidhi baat bhi mani nahin jati
hamara raaz-e-dil hi kya wo tum par aashkara hai
haqiqat aap ke dil ki magar jaani nahin jati
sar-e-maqtal taDapta dekh kar wo tilmila uTThe
sitam ke baad ab un ki pashemani nahin jati
kisi aashiq ke dil se puchhiye sar-garmi-e-ulfat
hazaron mushkilen hon phir bhi jaulani nahin jati
junun-e-ishq-e-kaamil mein ye parwane ki aadat hai
subut-e-ishq-e-kaamil ki wo qurbani nahin jati
jo surat koi bahr-e-ishq mein aai nazar hum ko
kuchh aisi masKH ho jati hai pahchani nahin jati
hamari quwwat-e-bardasht ki parwah kya un ko
sitam karne ki aadat hai sitam-rani nahin jati
are 'gham' mushkilen to ishq ki rahon mein hain lekin
hai in mein kaun kitni saKHt gardani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.