kisi surat na chain aae to kya ho
kisī sūrat na chain aa.e to kyā ho
tasallī aur taḌpā.e to kyā ho
adāvat to adāvat hai bahar-hāl
mohabbat bhī na raas aa.e to kyā ho
vo samjhā.eñ dilāsā deñ manā.eñ
magar dil phir bhī ghabrā.e to kyā ho
ye maanā rok deñ ham chashm-e-tar ko
tabassum ḳhuun barsā.e to kyā ho
zabāñ ko kaaT Dāleñ hoñT sī leñ
ḳhamoshī aah ban jaa.e to kyā ho
vo samjhāte raheñ aur nā-murādī
gale se baḌh ke lag jaa.e to kyā ho
ma.āz-allāh ḳhud ghar ke diye se
jo ghar meñ aag lag jaa.e to kyā ho
kahāñ kī aag aur kaisā nasheman
jo bijlī aap jal jaa.e to kyā ho
ye maanā ishq kī kuchh had nahīñ hai
jab un se ishq sharmā.e to kyā ho
masoseñ laakh ham siine meñ dil ko
unhīñ kī aañkh bhar aa.e to kyā ho
Thahoke de na yuuñ ai chashm-e-sāqī
jo paimāna chhalak jaa.e to kyā ho
ba-sad-mushkil piyā jaa.e jo aañsū
vo in palkoñ pe tharrā.e to kyā ho
ye tanhā.ī ye ronā chupke chupke
koī aise meñ aa jaa.e to kyā ho
havā se un ke dāman kī bujhe dil
sabā se phuul kumhlā.e to kyā ho
tabassum un kā le leñ mere aañsū
kiran ko os pī jaa.e to kyā ho
musībat ho to koī sabr kar le
ḳhushī ġham ban ke taḌpā.e to kyā ho
dil-e-hassās aur josh-e-mohabbat
habāb āñdhī se Takrā.e to kyā ho
vo pahlū meñ 'sarosh' aur ye qayāmat
jo vo pahlū se uTh jaa.e to kyā ho
kisi surat na chain aae to kya ho
tasalli aur taDpae to kya ho
adawat to adawat hai bahar-haal
mohabbat bhi na ras aae to kya ho
wo samjhaen dilasa den manaen
magar dil phir bhi ghabrae to kya ho
ye mana rok den hum chashm-e-tar ko
tabassum KHun barsae to kya ho
zaban ko kaT Dalen honT si len
KHamoshi aah ban jae to kya ho
wo samjhate rahen aur na-muradi
gale se baDh ke lag jae to kya ho
maaz-allah KHud ghar ke diye se
jo ghar mein aag lag jae to kya ho
kahan ki aag aur kaisa nasheman
jo bijli aap jal jae to kya ho
ye mana ishq ki kuchh had nahin hai
jab un se ishq sharmae to kya ho
masosen lakh hum sine mein dil ko
unhin ki aankh bhar aae to kya ho
Thahoke de na yun ai chashm-e-saqi
jo paimana chhalak jae to kya ho
ba-sad-mushkil piya jae jo aansu
wo in palkon pe tharrae to kya ho
ye tanhai ye rona chupke chupke
koi aise mein aa jae to kya ho
hawa se un ke daman ki bujhe dil
saba se phul kumhlae to kya ho
tabassum un ka le len mere aansu
kiran ko os pi jae to kya ho
musibat ho to koi sabr kar le
KHushi gham ban ke taDpae to kya ho
dil-e-hassas aur josh-e-mohabbat
habab aandhi se Takrae to kya ho
wo pahlu mein 'sarosh' aur ye qayamat
jo wo pahlu se uTh jae to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.