kisi surat na un aankhon ke asar se nikle
kisī sūrat na un āñkhoñ ke asar se nikle
kitne hī rang mire dīda-e-tar se nikle
ek hasīñ ḳhvāb kī ta.abīr meñ ghar se nikle
ham asīrān-e-vafā chāhe jidhar se nikle
pahle sarsabz kiyā us ne mohabbat kā shajar
phir samar saare usī ek shajar se nikle
lams se us ke baḌhī aur bhī parvāz-e-junūñ
us ke hamrāh jo ḳhushbū ke safar se nikle
saare asrār shab-e-vasl pe khulte hī ga.e
phir to ash.ār mire la.al-o-gohar se nikle
phir koī rang numūdār ho sūrat se tirī
husn saarā hī kisī dast-e-hunar se nikle
kisi surat na un aankhon ke asar se nikle
kitne hi rang mere dida-e-tar se nikle
ek hasin KHwab ki tabir mein ghar se nikle
hum asiran-e-wafa chahe jidhar se nikle
pahle sarsabz kiya us ne mohabbat ka shajar
phir samar sare usi ek shajar se nikle
lams se us ke baDhi aur bhi parwaz-e-junun
us ke hamrah jo KHushbu ke safar se nikle
sare asrar shab-e-wasl pe khulte hi gae
phir to ashaar mere lal-o-gohar se nikle
phir koi rang numudar ho surat se teri
husn sara hi kisi dast-e-hunar se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.