kisi surat nazar ki fitna-samani nahin jati
kisī sūrat nazar kī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
bujhe jaate haiñ dil chehroñ kī vīrānī nahīñ jaatī
ḳhudā kā naam lene ko to lete haiñ sabhī lekin
ḳhudā kī baat duniyā meñ kahīñ maanī nahīñ jaatī
mire chehre ke ḳhadd-o-ḳhāl kyā pahchāntā koī
ki ḳhud apnī hī sūrat mujh se pahchānī nahīñ jaatī
haqīqat ḳhud-ba-ḳhud raushan huī hai saat pardoñ se
dalīloñ se misāloñ se kabhī jaanī nahīñ jaatī
agarche is meñ lākhoñ hasratoñ ke phuul khilte haiñ
magar phir bhī hamāre dil kī vīrānī nahīñ jaatī
nizām-e-maikada badlā na.e saaqī na.ī sahbā
magar kyoñ phir bhī logoñ kī pareshānī nahīñ jaatī
junūñ kī manziloñ tak kis tarah 'parvez' pahuñchoge
agar dasht-e-ḳhirad kī ḳhaak bhī chhānī nahīñ jaatī
kisi surat nazar ki fitna-samani nahin jati
bujhe jate hain dil chehron ki virani nahin jati
KHuda ka nam lene ko to lete hain sabhi lekin
KHuda ki baat duniya mein kahin mani nahin jati
mere chehre ke KHadd-o-KHal kya pahchanta koi
ki KHud apni hi surat mujh se pahchani nahin jati
haqiqat KHud-ba-KHud raushan hui hai sat pardon se
dalilon se misalon se kabhi jaani nahin jati
agarche is mein lakhon hasraton ke phul khilte hain
magar phir bhi hamare dil ki virani nahin jati
nizam-e-maikada badla nae saqi nai sahba
magar kyon phir bhi logon ki pareshani nahin jati
junun ki manzilon tak kis tarah 'parwez' pahunchoge
agar dasht-e-KHirad ki KHak bhi chhani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.