kisi surat sahar nahin hoti
kisī sūrat sahar nahīñ hotī
raat idhar se udhar nahīñ hotī
ḳhauf sayyād se na barq kā Dar
baat ye apne ghar nahīñ hotī
ek vo haiñ ki roz aate haiñ
ek ham haiñ ḳhabar nahīñ hotī
ab maiñ samjhā huuñ kaaT kar shab-e-ġham
zindagī muḳhtasar nahīñ hotī
kitnī pāband-e-vaz.a hai shab-e-ġham
kabhī ġhairoñ ke ghar nahīñ hotī
kitnī sīdhī hai rāh-e-mulk-e-adam
hājat-e-rāhbar nahīñ hotī
sun liyā hogā tum ne hāl-e-marīz
ab davā kārgar nahīñ hotī
arsh miltā hai merī aahoñ se
lekin un ko ḳhabar nahīñ hotī
kisi surat sahar nahin hoti
raat idhar se udhar nahin hoti
KHauf sayyaad se na barq ka Dar
baat ye apne ghar nahin hoti
ek wo hain ki roz aate hain
ek hum hain KHabar nahin hoti
ab main samjha hun kaT kar shab-e-gham
zindagi muKHtasar nahin hoti
kitni paband-e-waza hai shab-e-gham
kabhi ghairon ke ghar nahin hoti
kitni sidhi hai rah-e-mulk-e-adam
hajat-e-rahbar nahin hoti
sun liya hoga tum ne haal-e-mariz
ab dawa kargar nahin hoti
arsh milta hai meri aahon se
lekin un ko KHabar nahin hoti
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 57)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat ali and Sons
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.