kisi surat se mere dil ki virani nahin jati
kisī sūrat se mere dil kī vīrānī nahīñ jaatī
galī meñ zindagī kī ḳhaak ab chhānī nahīñ jaatī
ye mere dil kā dariyā bhī ajab dariyā-e-vahshat hai
utar jaatā hai lekin is kī tuġhyānī nahīñ jaatī
vahī chehre vahī ghar haiñ magar kitnā taġhayyur hai
vahī bastī hai aur āñkhoñ se pahchānī nahīñ jaatī
kabhī ābād hone ko taras jaatā hai shahr-e-dil
kabhī ābād hone par bhī vīrānī nahīñ jaatī
ḳhatā se baḌh ke ehsās-e-ḳhatā ne kar diyā ḳhasta
pashemāñ ho ke bhī dil kī pashemānī nahīñ jaatī
shaguft-e-gul kā matlab hai fanā-e-zāt to phir kyoñ
guloñ kī ārzū-e-chāk-dāmānī nahīñ jaatī
abhī to aur khā.egā fareb-e-dostāñ 'ahmad'
ye duniyā hai ye āsānī se pahchānī nahīñ jaatī
kisi surat se mere dil ki virani nahin jati
gali mein zindagi ki KHak ab chhani nahin jati
ye mere dil ka dariya bhi ajab dariya-e-wahshat hai
utar jata hai lekin is ki tughyani nahin jati
wahi chehre wahi ghar hain magar kitna taghayyur hai
wahi basti hai aur aankhon se pahchani nahin jati
kabhi aabaad hone ko taras jata hai shahr-e-dil
kabhi aabaad hone par bhi virani nahin jati
KHata se baDh ke ehsas-e-KHata ne kar diya KHasta
pasheman ho ke bhi dil ki pashemani nahin jati
shaguft-e-gul ka matlab hai fana-e-zat to phir kyon
gulon ki aarzu-e-chaak-damani nahin jati
abhi to aur khaega fareb-e-dostan 'ahmad'
ye duniya hai ye aasani se pahchani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.