kisi tah se ubharta ja raha hun
kisī tah se ubhartā jā rahā huuñ
kuaañ paanī se bhartā jā rahā huuñ
chamak uTThegī thoḌī der meñ sub.h
fazā tasvīr kartā jā rahā huuñ
yahāñ paanī taḌap uTThegā shāyad
koī dahshat hai Dartā jā rahā huuñ
mirī nīlāhaTeñ bhī haiñ abad-zā
falak-ūpar bikhartā jā rahā huuñ
ye kin hāthoñ meñ maiñ aayā huā huuñ
ye kin logoñ meñ bartā jā rahā huuñ
kisī ke āsmāñ kā chāñd huuñ maiñ
muñDeroñ par utartā jā rahā huuñ
havā huuñ aur nazar aatā nahīñ huuñ
‘ilāqoñ se guzartā jā rahā huuñ
kisī kā husn-e-dil-afroz huuñ maiñ
so aa.e din nikhartā jā rahā huuñ
koī khilne kī bār-āvar ghaḌī hai
qabāoñ ko katartā jā rahā huuñ
kisi tah se ubharta ja raha hun
kuan pani se bharta ja raha hun
chamak uTThegi thoDi der mein subh
faza taswir karta ja raha hun
yahan pani taDap uTThega shayad
koi dahshat hai Darta ja raha hun
meri nilahaTen bhi hain abad-za
falak-upar bikharta ja raha hun
ye kin hathon mein main aaya hua hun
ye kin logon mein barta ja raha hun
kisi ke aasman ka chand hun main
munDeron par utarta ja raha hun
hawa hun aur nazar aata nahin hun
‘ilaqon se guzarta ja raha hun
kisi ka husn-e-dil-afroz hun main
so aae din nikharta ja raha hun
koi khilne ki bar-awar ghaDi hai
qabaon ko katarta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.