kisi tahrir mein tum kyon nahin ho
kisī tahrīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
mirī taqdīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
mire har ḳhvāb meñ jab tum hī tum ho
to phir ta.abīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
sunā mahfil meñ the kal raat tum bhī
kisī tasvīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
yahāñ sach bolnā dīvāngī hai
are zanjīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
nayā sahrā banāyā jā rahā hai
junūñ-ta.amīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
lage haiñ aaj kuchh ilzām ham par
to phir tash.hīr meñ tum kyoñ nahīñ ho
kisi tahrir mein tum kyon nahin ho
meri taqdir mein tum kyon nahin ho
mere har KHwab mein jab tum hi tum ho
to phir tabir mein tum kyon nahin ho
suna mahfil mein the kal raat tum bhi
kisi taswir mein tum kyon nahin ho
yahan sach bolna diwangi hai
are zanjir mein tum kyon nahin ho
naya sahra banaya ja raha hai
junun-tamir mein tum kyon nahin ho
lage hain aaj kuchh ilzam hum par
to phir tashhir mein tum kyon nahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.