kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke
kisī talab meñ huā maiñ na dar-ba-dar ab ke
rahā nigāh kā mehvar bas apnā ghar ab ke
na jaane kitne hī raste the muntazir lekin
simaT ke rah gayā qadmoñ meñ hī safar ab ke
ye intizār kī shiddat na thī kabhī pahle
muhīt lagtā hai sadiyoñ pe lamha bhar ab ke
bahār-e-lāla-o-gul ke qasīde ḳhatm hue
ḳhizāñ kā marsiya paḌhtā hai har shajar ab ke
ye kaisā nasha musallat thā ab ke zehnoñ par
tabāhiyoñ se rahe sab hī be-ḳhabar ab ke
samar kī parvā kiye bin hī ham ne boyā hai
zamīn-e-ḳhvāb pe ummīd kā shajar ab ke
ajiib mausam-e-karb-o-balā hai gulshan meñ
rakhā hai ġhunchoñ ne kāñToñ pe apnā sar ab ke
ghuTan meñ vaqt kī bārūd ban gayā huuñ 'suḳhan'
na phūñk de mujhe aa kar koī sharar ab ke
kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke
raha nigah ka mehwar bas apna ghar ab ke
na jaane kitne hi raste the muntazir lekin
simaT ke rah gaya qadmon mein hi safar ab ke
ye intizar ki shiddat na thi kabhi pahle
muhit lagta hai sadiyon pe lamha bhar ab ke
bahaar-e-lala-o-gul ke qaside KHatm hue
KHizan ka marsiya paDhta hai har shajar ab ke
ye kaisa nasha musallat tha ab ke zehnon par
tabahiyon se rahe sab hi be-KHabar ab ke
samar ki parwa kiye bin hi hum ne boya hai
zamin-e-KHwab pe ummid ka shajar ab ke
ajib mausam-e-karb-o-bala hai gulshan mein
rakha hai ghunchon ne kanTon pe apna sar ab ke
ghuTan mein waqt ki barud ban gaya hun 'suKHan'
na phunk de mujhe aa kar koi sharar ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.