kisi tamanna ki dilbari mein bhaTak raha hun kai dinon se
kisi tamanna ki dilbari mein bhaTak raha hun kai dinon se
Muhammad Atiq Ahmad
MORE BYMuhammad Atiq Ahmad
kisī tamannā kī dilbarī meñ bhaTak rahā huuñ ka.ī dinoñ se
maiñ tujh se milne kī aas hī meñ bhaTak rahā huuñ ka.ī dinoñ se
maiñ vo musāfir jo kārvāñ se bichhaḌ gayā rāste meñ ik din
so aaj apnī hī rahbarī meñ bhaTak rahā huuñ ka.ī dinoñ se
maiñ ik shajar huuñ vafā kā lekin kisī ne merī taraf na dekhā
so maiñ chaman-zār-e-zindagī meñ bhaTak rahā huuñ ka.ī dinoñ se
maiñ vo darīcha ki jis kī qismat meñ koī dīpak na koī jugnū
jahān-e-ġham kī galī-galī meñ bhaTak rahā huuñ ka.ī dinoñ se
visāl kī phir havā chalegī isī liye to 'atīq' maiñ bhī
charāġh-e-furqat kī raushnī meñ bhaTak rahā huuñ ka.ī dinoñ se
kisi tamanna ki dilbari mein bhaTak raha hun kai dinon se
main tujh se milne ki aas hi mein bhaTak raha hun kai dinon se
main wo musafir jo karwan se bichhaD gaya raste mein ek din
so aaj apni hi rahbari mein bhaTak raha hun kai dinon se
main ek shajar hun wafa ka lekin kisi ne meri taraf na dekha
so main chaman-zar-e-zindagi mein bhaTak raha hun kai dinon se
main wo daricha ki jis ki qismat mein koi dipak na koi jugnu
jahan-e-gham ki gali-gali mein bhaTak raha hun kai dinon se
visal ki phir hawa chalegi isi liye to 'atiq' main bhi
charagh-e-furqat ki raushni mein bhaTak raha hun kai dinon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.