kisi taraf na girah ka sira dikhai de
kisī taraf na girah kā sirā dikhā.ī de
na koī nāḳhūn-e-uqda-kushā dikhā.ī de
yahī tilism to aivān-e-eqtidār meñ hai
ki ḳhud ko banda-e-ājiz ḳhudā dikhā.ī de
tamām-shahr ne chehre badal liye shāyad
taras ga.e haiñ koī āshnā dikhā.ī de
mashām-e-jāñ tirī ḳhushbū se is qadar mānūs
mahak badan kī ba-dosh-e-sabā dikhā.ī de
zamīñ kā chāñd mirā kā.enāt meñ yaktā
agar hai us sā koī dūsrā dikhā.ī de
kisi taraf na girah ka sira dikhai de
na koi naKHun-e-uqda-kusha dikhai de
yahi tilism to aiwan-e-eqtidar mein hai
ki KHud ko banda-e-ajiz KHuda dikhai de
tamam-shahr ne chehre badal liye shayad
taras gae hain koi aashna dikhai de
masham-e-jaan teri KHushbu se is qadar manus
mahak badan ki ba-dosh-e-saba dikhai de
zamin ka chand mera kaenat mein yakta
agar hai us sa koi dusra dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.