kisi tarah bhi wo takmil-e-muddaa karte
kisī tarah bhī vo takmīl-e-mudda.ā karte
vafā kī ḳhū jo nahīñ thī to phir jafā karte
adā-e-husn to tālib hai jāñ-sipārī kī
kalīm kaise tajallī kā sāmnā karte
tamām umr ḳhudā se yahī duā māñgī
vo din bhī aatā jo vo mujh se iltijā karte
hameñ kisī kī talab kā bharam to rakhnā thā
jo ham ye jaan na dete to aur kyā karte
faqat tahaffuz-e-kashtī kā dhyān thā varna
ham aur minnat-e-ehsān-e-nāḳhudā karte
zarā batā.eñ jo furqat meñ ham pe biit ga.ī
ye vaqt aap pe paḌtā to aap kyā karte
maiñ un ke lab kī duā kā uThā.ūñ kyoñ ehsān
jo dekhne ko na aa.e vo kyā duā karte
vafā hai aaj bhī hal-mim-mazīd kī tālib
'habīb' mar ga.e kitne vafā vafā karte
kisi tarah bhi wo takmil-e-muddaa karte
wafa ki KHu jo nahin thi to phir jafa karte
ada-e-husn to talib hai jaan-sipari ki
kalim kaise tajalli ka samna karte
tamam umr KHuda se yahi dua mangi
wo din bhi aata jo wo mujh se iltija karte
hamein kisi ki talab ka bharam to rakhna tha
jo hum ye jaan na dete to aur kya karte
faqat tahaffuz-e-kashti ka dhyan tha warna
hum aur minnat-e-ehsan-e-naKHuda karte
zara bataen jo furqat mein hum pe bit gai
ye waqt aap pe paDta to aap kya karte
main un ke lab ki dua ka uThaun kyon ehsan
jo dekhne ko na aae wo kya dua karte
wafa hai aaj bhi hal-mim-mazid ki talib
'habib' mar gae kitne wafa wafa karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.