kisi tarah KHalish-e-arzu miTa na sake
kisī tarah ḳhalish-e-ārzū miTā na sake
tire qarīb bhī aa kar sukūn pā na sake
chaman meñ dekhe koī us kalī kī mahrūmī
jo muskurā.e to jī-bhar ke muskurā na sake
usī kā sajda usī kā niyāz usī kī namāz
jo us ke dar pe jhukā kar jabīñ uThā na sake
jahān-e-ishq meñ hai inqalāb kī zāmin
vo ek aah jo dil se laboñ tak aa na sake
na pūchh us ke muqaddar kī nā-rasā.ī ko
jo aap gum ho magar phir bhī tujh ko pā na sake
ye raaz vo hai jo hoñToñ tak aa nahīñ saktā
kahāñ jhukā.ī jabīñ aur kahāñ jhukā na sake
kisī ke ġham kā rahā paas is qadar 'shāriq'
ki bhuul kar bhī mohabbat meñ muskurā na sake
kisi tarah KHalish-e-arzu miTa na sake
tere qarib bhi aa kar sukun pa na sake
chaman mein dekhe koi us kali ki mahrumi
jo muskurae to ji-bhar ke muskura na sake
usi ka sajda usi ka niyaz usi ki namaz
jo us ke dar pe jhuka kar jabin uTha na sake
jahan-e-ishq mein hai inqalab ki zamin
wo ek aah jo dil se labon tak aa na sake
na puchh us ke muqaddar ki na-rasai ko
jo aap gum ho magar phir bhi tujh ko pa na sake
ye raaz wo hai jo honTon tak aa nahin sakta
kahan jhukai jabin aur kahan jhuka na sake
kisi ke gham ka raha pas is qadar 'shaariq'
ki bhul kar bhi mohabbat mein muskura na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.