kisi tarah se ghira main kuchh bad-duaon mein hun
kisi tarah se ghira main kuchh bad-duaon mein hun
Mudassir ishtiyaaq
MORE BYMudassir ishtiyaaq
kisī tarah se ghirā maiñ kuchh bad-duāoñ meñ huuñ
mujhe zarūrat hai dhuup kī aur maiñ chhāñv meñ huuñ
buroñ se merī faqat sazā meñ mushābahat hai
gunāh-e-nā-karda kī phañsā maiñ sazāoñ meñ huuñ
koī samajh paa.e merī uljhan to hal batā.e
juḌā huuñ shahr-e-fitan se uljhā maiñ gaañv meñ huuñ
kabhī jo merī masāfatoñ kā hisāb karnā
shumār karnā rukā maiñ kitnā sarāoñ meñ huuñ
maiñ gum-shuda huuñ tirā munādī ne hai batāyā
mujhe ḳhushī hai abhī maiñ terī sadāoñ meñ huuñ
vafā kī rāhoñ meñ bichh gayā thā maiñ terī ḳhātir
shumār hone lagā maiñ kyoñ be-vafāoñ meñ huuñ
jinhoñ ne palkoñ pe thā biThānā mujhe 'mudassir'
dabā huā āj-kal unhī ke maiñ paañv meñ huuñ
kisi tarah se ghira main kuchh bad-duaon mein hun
mujhe zarurat hai dhup ki aur main chhanw mein hun
buron se meri faqat saza mein mushabahat hai
gunah-e-na-karda ki phansa main sazaon mein hun
koi samajh pae meri uljhan to hal batae
juDa hun shahr-e-fitan se uljha main ganw mein hun
kabhi jo meri masafaton ka hisab karna
shumar karna ruka main kitna saraon mein hun
main gum-shuda hun tera munadi ne hai bataya
mujhe KHushi hai abhi main teri sadaon mein hun
wafa ki rahon mein bichh gaya tha main teri KHatir
shumar hone laga main kyon be-wafaon mein hun
jinhon ne palkon pe tha biThana mujhe 'mudassir'
daba hua aaj-kal unhi ke main panw mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.