kisi tarah se na bahla firaq-e-yar mein dil
kisī tarah se na bahlā firāq-e-yār meñ dil
ḳhizāñ kī tarah fasurda rahā bahār meñ dil
nahīñ hai chain muqaddar meñ be-qarāroñ ke
hamāre saath taḌaptā rahā mazār meñ dil
tafakkurāt-e-jahāñ se hai yak-qalam āzād
phañsā huā tire gesū-e-tābdār meñ dil
agar tū aa nahīñ saktā to kaash ajal aa.e
hai be-qarār bahut tere intizār meñ dil
kamāl-e-husn-e-tasavvur ye hai ki rahtā hai
shagufta gul kī tarah yād-e-rū-e-yār meñ dil
kahāñ hai ishq jo aa kar ise chhuḌā jaa.e
ghirā huā hai balā-hā-e-rozgār meñ dil
bas apnī apnī jagah lā-javāb haiñ donoñ
ġhurūr meñ nigah-e-yār inkisār meñ dil
natīja hasrat-o-hirmāñ hai shauq-e-behad kā
ḳharāb hogā bahut ārzū-e-yār meñ dil
bigaḌ rahe haiñ abas aap apne 'kaukab' par
vo kyā kare jo na ho us ke iḳhtiyār meñ dil
kisi tarah se na bahla firaq-e-yar mein dil
KHizan ki tarah fasurda raha bahaar mein dil
nahin hai chain muqaddar mein be-qararon ke
hamare sath taDapta raha mazar mein dil
tafakkuraat-e-jahan se hai yak-qalam aazad
phansa hua tere gesu-e-tabdar mein dil
agar tu aa nahin sakta to kash ajal aae
hai be-qarar bahut tere intizar mein dil
kamal-e-husn-e-tasawwur ye hai ki rahta hai
shagufta gul ki tarah yaad-e-ru-e-yar mein dil
kahan hai ishq jo aa kar ise chhuDa jae
ghira hua hai bala-ha-e-rozgar mein dil
bas apni apni jagah la-jawab hain donon
ghurur mein nigah-e-yar inkisar mein dil
natija hasrat-o-hirman hai shauq-e-behad ka
KHarab hoga bahut aarzu-e-yar mein dil
bigaD rahe hain abas aap apne 'kaukab' par
wo kya kare jo na ho us ke iKHtiyar mein dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.