kisi tartib mein rakkhi na bikharne di hai
kisī tartīb meñ rakkhī na bikharne dī hai
maiñ ne ye zindagī bekār guzarne dī hai
tañg kartī hai bahut tishna-labī ham ko bhī
saañs bhartā hai agar pyaas to bharne dī hai
itnī be-rahm masīhā.ī mire paas rahī
zinda kar dī koī ḳhvāhish kabhī marne dī hai
koī gauhar tirī ā.inda kī lahroñ meñ nahīñ
ek dariyā ko ḳhabar pichhle-pahar ne dī hai
is mashaqqat ne use tajraba in.aam diyā
ik thakan us ko magar dasht-e-safar ne dī hai
kisi tartib mein rakkhi na bikharne di hai
main ne ye zindagi bekar guzarne di hai
tang karti hai bahut tishna-labi hum ko bhi
sans bharta hai agar pyas to bharne di hai
itni be-rahm masihai mere pas rahi
zinda kar di koi KHwahish kabhi marne di hai
koi gauhar teri aainda ki lahron mein nahin
ek dariya ko KHabar pichhle-pahar ne di hai
is mashaqqat ne use tajraba inam diya
ek thakan us ko magar dasht-e-safar ne di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.