kisi tez jhonke ke sang thi meri oDhni
kisī tez jhoñke ke sañg thī mirī oḌhnī
kabhī sar pe thī kabhī uḌ ga.ī mirī oḌhnī
vo jo zaḳhm-ḳhurda sī vahshateñ thī nigāh meñ
unheñ apne pallū se joḌtī mirī oḌhnī
koī sā.ebāñ jo duā sā thā mirī raah meñ
vo nahīñ rahā to kahāñ rahī mirī oḌhnī
vo sambhal sambhal ke uThā rahī hai har ik qadam
mirī lāDlī ne jo oḌh lī mirī oḌhnī
jo mire nasīb ke ḳhvāb the vo sarāb the
unhī mausamoñ meñ rachī-basī mirī oḌhnī
na kasak rahī na chasak rahī na hī hairateñ
vo badal gayā to badal ga.ī mirī oḌhnī
kisi tez jhonke ke sang thi meri oDhni
kabhi sar pe thi kabhi uD gai meri oDhni
wo jo zaKHm-KHurda si wahshaten thi nigah mein
unhen apne pallu se joDti meri oDhni
koi saeban jo dua sa tha meri rah mein
wo nahin raha to kahan rahi meri oDhni
wo sambhal sambhal ke uTha rahi hai har ek qadam
meri laDli ne jo oDh li meri oDhni
jo mere nasib ke KHwab the wo sarab the
unhi mausamon mein rachi-basi meri oDhni
na kasak rahi na chasak rahi na hi hairaten
wo badal gaya to badal gai meri oDhni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.