kisi udas aankh ke asir ho gae
kisī udaas aañkh ke asiir ho ga.e
baḌe ġharīb log the amiir ho ga.e
kisī ke dil ke taḳht pe birājmān the
to kyā kisī nazar meñ gir haqīr ho ga.e
gadāgarī se uTh ke log shaah ban ga.e
jo shaah the palak jhapak faqīr ho ga.e
ham aise jañg-jū asīr-e-ishq kyā hue
mohabbatoñ meñ amn ke safīr ho ga.e
vo ajnabī nigāh dil ko taar kar ga.ī
gurez-pā visāl dil meñ tiir ho ga.e
bas ek nuqta kaise āsmān ho gayā
qalīl ḳhvāb kis tarah kasīr ho ga.e
kisi udas aankh ke asir ho gae
baDe gharib log the amir ho gae
kisi ke dil ke taKHt pe birajman the
to kya kisi nazar mein gir haqir ho gae
gadagari se uTh ke log shah ban gae
jo shah the palak jhapak faqir ho gae
hum aise jang-ju asir-e-ishq kya hue
mohabbaton mein amn ke safir ho gae
wo ajnabi nigah dil ko tar kar gai
gurez-pa visal dil mein tir ho gae
bas ek nuqta kaise aasman ho gaya
qalil KHwab kis tarah kasir ho gae
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.