kitab-e-dil ka teri intisab baqi hai
kitāb-e-dil kā tirī intisāb baaqī hai
haqīqatoñ se alag ek ḳhvāb baaqī hai
vo ishq bhuul ga.e jis ko tum usī ke liye
hamāre dil meñ abhī iztirāb baaqī hai
jahān kam thā ki dozaḳh bhī ik banā Daalī
ilāhī kaun sā aisā azaab baaqī hai
agar sunā.ūñ hadīs-e-junūñ to chand alfāz
likhūñ agar to ye puurī kitāb baaqī hai
hamāre saath to chal tasfiya huā terā
Thahar ki tujh se hamārā hisāb baaqī hai
ye bahas chhoḌiye mujrim huuñ yā nahīñ kiije
jo rah gayā hai sitam jo itaab baaqī hai
huā tamām safar dasht kā magar 'āsim'
laboñ pe ret nazar meñ sarāb baaqī hai
kitab-e-dil ka teri intisab baqi hai
haqiqaton se alag ek KHwab baqi hai
wo ishq bhul gae jis ko tum usi ke liye
hamare dil mein abhi iztirab baqi hai
jahan kam tha ki dozaKH bhi ek bana Dali
ilahi kaun sa aisa azab baqi hai
agar sunaun hadis-e-junun to chand alfaz
likhun agar to ye puri kitab baqi hai
hamare sath to chal tasfiya hua tera
Thahar ki tujh se hamara hisab baqi hai
ye bahas chhoDiye mujrim hun ya nahin kije
jo rah gaya hai sitam jo itab baqi hai
hua tamam safar dasht ka magar 'asim'
labon pe ret nazar mein sarab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.