kitab-e-hijr mein ek harf-e-na-rasa ki tarah
kitāb-e-hijr meñ ik harf-e-nā-rasā kī tarah
mujhe bhī likhe koī john fāriha kī tarah
bhale ye haath bañdhe haiñ magar ye kājal hai
so phail jaatā hai ik kāsa-e-gadā kī tarah
vo mujh se miltā thā har baar apnī shartoñ par
kabhī ḳhatā kī tarah aur kabhī sazā kī tarah
mujhe satātī raheñ titliyāñ sharārat se
guloñ kī baat vo kartā rahā sabā kī tarah
jo baat kartā thā mujh se mire hī lahje meñ
na aayā lauT ke vāpas mirī sadā kī tarah
ye baat tai thī ki rahnā hai ajnabī ban kar
so oḌh lī tirī begānagī ridā kī tarah
hamāre biich agar kuchh nahīñ to phir kyā hai
nibhāte rahte haiñ donoñ jise vafā kī tarah
mujhe hī jaldī thī kuchh kaam aur nipTā luuñ
vo aa ke baiThā thā achchhā bhalā sadā kī tarah
kisī ke hāthoñ kī garmī se jab milī ThanDak
tū yaad aa ga.ī 'sīmā' mujhe rasā kī tarah
kitab-e-hijr mein ek harf-e-na-rasa ki tarah
mujhe bhi likhe koi john fariha ki tarah
bhale ye hath bandhe hain magar ye kajal hai
so phail jata hai ek kasa-e-gada ki tarah
wo mujh se milta tha har bar apni sharton par
kabhi KHata ki tarah aur kabhi saza ki tarah
mujhe satati rahen titliyan shararat se
gulon ki baat wo karta raha saba ki tarah
jo baat karta tha mujh se mere hi lahje mein
na aaya lauT ke wapas meri sada ki tarah
ye baat tai thi ki rahna hai ajnabi ban kar
so oDh li teri beganagi rida ki tarah
hamare bich agar kuchh nahin to phir kya hai
nibhate rahte hain donon jise wafa ki tarah
mujhe hi jaldi thi kuchh kaam aur nipTa lun
wo aa ke baiTha tha achchha bhala sada ki tarah
kisi ke hathon ki garmi se jab mili ThanDak
tu yaad aa gai 'sima' mujhe rasa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.