kitab-e-ishq ki sharh-e-matin tak pahunchun
kitāb-e-ishq kī sharh-e-matīn tak pahuñchūñ
kabhī to mansab-e-a.alā-tarīn tak pahuñchūñ
uḌaa.e phirtī hai mujh ko anā fazāoñ meñ
bhalā maiñ kaise vafā kī zamīn tak pahuñchūñ
mujhe vo mai to pilā de ki be-ḳhudī meñ bhī
rumūz-e-hastī-e-kāmil-yaqīn tak pahuñchūñ
hazār ḳhūbiyāñ mujh meñ haiñ rashk ke qābil
hai merā azm ki maiñ behtarīn tak pahuñchūñ
sunā hai maiñ ne bahut tū hasīñ hai ai duniyā
maiñ chāhtā huuñ ki tujh se hasīn tak pahuñchūñ
mujhe yaqīn hai tū un ke saath rahtā hai
mirī bisāt kahāñ sābirīn tak pahuñchūñ
ibādatoñ kā banūñ nuur is tarah 'anvar'
nishān ban ke kisī kī jabīn tak pahuñchūñ
kitab-e-ishq ki sharh-e-matin tak pahunchun
kabhi to mansab-e-ala-tarin tak pahunchun
uDae phirti hai mujh ko ana fazaon mein
bhala main kaise wafa ki zamin tak pahunchun
mujhe wo mai to pila de ki be-KHudi mein bhi
rumuz-e-hasti-e-kaamil-yaqin tak pahunchun
hazar KHubiyan mujh mein hain rashk ke qabil
hai mera azm ki main behtarin tak pahunchun
suna hai main ne bahut tu hasin hai ai duniya
main chahta hun ki tujh se hasin tak pahunchun
mujhe yaqin hai tu un ke sath rahta hai
meri bisat kahan sabirin tak pahunchun
ibaadaton ka banun nur is tarah 'anwar'
nishan ban ke kisi ki jabin tak pahunchun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.