kitab-e-kashf ki pahli kahani likh raha hai
kitāb-e-kashf kī pahlī kahānī likh rahā hai
mire andar koī kashfī kahānī likh rahā hai
lahū aur ashk meñ bhīgā huā chup kā parinda
kahānī likhne vaale kī kahānī likh rahā hai
mire aivān-e-hairat meñ kahānī-kār koī
kahīñ baiThā huā sachchī kahānī likh rahā hai
maiñ har kirdār meñ us ke muqābil aa gayā huuñ
mirā ham-zād ye kaisī kahānī likh rahā hai
baḌā be-rahm hai saffāk hai gustāḳh hai vo
so apne ahd kī puurī kahānī likh rahā hai
baḌī achchhī kahānī hai havā aur bādbāñ kī
musāfir to baḌī achchhī kahānī likh rahā hai
usī kā hausla hai jo ḳhizāñ-rut meñ bhī 'shaukat'
gulāboñ se mohabbat kī kahānī likh rahā hai
kitab-e-kashf ki pahli kahani likh raha hai
mere andar koi kashfi kahani likh raha hai
lahu aur ashk mein bhiga hua chup ka parinda
kahani likhne wale ki kahani likh raha hai
mere aiwan-e-hairat mein kahani-kar koi
kahin baiTha hua sachchi kahani likh raha hai
main har kirdar mein us ke muqabil aa gaya hun
mera ham-zad ye kaisi kahani likh raha hai
baDa be-rahm hai saffak hai gustaKH hai wo
so apne ahd ki puri kahani likh raha hai
baDi achchhi kahani hai hawa aur baadban ki
musafir to baDi achchhi kahani likh raha hai
usi ka hausla hai jo KHizan-rut mein bhi 'shaukat'
gulabon se mohabbat ki kahani likh raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.