kitab-e-KHwahish ka aaKHiri bab likh raha hun
kitāb-e-ḳhvāhish kā āḳhirī baab likh rahā huuñ
visāl-e-mausam kī satr-e-nāyāb likh rahā huuñ
varaq varaq ab yahī to sachchā.ī boltī hai
maiñ dushmanoñ ko misāl-e-ahbāb likh rahā huuñ
ye mere sāthī jo karbalā meñ ghire hue haiñ
maiñ un kī ḳhātir furāt par aab likh rahā huuñ
mirī kitāb-e-suḳhan kā ye ibtidā.iya hai
maiñ bārish-e-sang meñ gul-e-ḳhvāb likh rahā huuñ
mire lahū kī luġhat kā ye mo.ajiza hai 'shaukat'
na.ī ġhazal kā nisāb-e-shādāb likh rahā huuñ
kitab-e-KHwahish ka aaKHiri bab likh raha hun
visal-e-mausam ki satr-e-nayab likh raha hun
waraq waraq ab yahi to sachchai bolti hai
main dushmanon ko misal-e-ahbab likh raha hun
ye mere sathi jo karbala mein ghire hue hain
main un ki KHatir furaat par aab likh raha hun
meri kitab-e-suKHan ka ye ibtidaiya hai
main barish-e-sang mein gul-e-KHwab likh raha hun
mere lahu ki lughat ka ye moajiza hai 'shaukat'
nai ghazal ka nisab-e-shadab likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.