kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai
kitāb-e-umr meñ ik vo bhī baab hotā hai
har ik savāl jahāñ lā-javāb hotā hai
maiñ pī gayā huuñ yahī soch kar tire aañsū
hasīn āñkhoñ kā paanī sharāb hotā hai
mire bhī haath meñ aayā thā jaam TuuT gayā
kisī kisī kā muqaddar ḳharāb hotā hai
laboñ se harf-e-mohabbat adā nahīñ hotā
nazar nazar se savāl-o-javāb hotā hai
kisī ke dard ko samjho kisī kā ġham le lo
kisī kā haath baTānā savāb hotā hai
kabhī vo jāgtā rahtā hai soī āñkhoñ meñ
kabhī vo jāgtī āñkhoñ kā ḳhvāb hotā hai
makīñ ban ke yahāñ kaun aa.egā 'sīmāb'
dil-e-shikasta makān-e-ḳharāb hotā hai
kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai
har ek sawal jahan la-jawab hota hai
main pi gaya hun yahi soch kar tere aansu
hasin aankhon ka pani sharab hota hai
mere bhi hath mein aaya tha jam TuT gaya
kisi kisi ka muqaddar KHarab hota hai
labon se harf-e-mohabbat ada nahin hota
nazar nazar se sawal-o-jawab hota hai
kisi ke dard ko samjho kisi ka gham le lo
kisi ka hath baTana sawab hota hai
kabhi wo jagta rahta hai soi aankhon mein
kabhi wo jagti aankhon ka KHwab hota hai
makin ban ke yahan kaun aaega 'simab'
dil-e-shikasta makan-e-KHarab hota hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 174)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.