kitab-e-zist ka dhundla cower utarte hain
kitāb-e-zīst kā dhuñdlā cover utārte haiñ
ab is maqām pe gard-e-safar utārte haiñ
ḳhizāñ kā jo bhī huā thā asar utārte haiñ
chaman ke phuul chaman kī nazar utārte haiñ
dikhā.eñ kaise manāzir ufaq ke āñkhoñ ko
chalo zamīn pe shams-o-qamar utārte haiñ
lahū meñ utrā hai aaseb is liye ham ab
lahū nichoḌ ke har ek shar utārte haiñ
ik āsmān jise kah rahe haiñ log abhī
kaheñge kyā vo zamīñ par agar utārte haiñ
agar ki ḳhvāb kī tā۔bīr dekhnī ho hameñ
to pahle aañkh se saare bhañvar utārte haiñ
ġham-e-jahān ġham-e-yār do kināre haiñ
to dekhiye ye thapeḌe kidhar utārte haiñ
ḳhud apne hone se inkār kar diyā ham ne
yuuñ apne hone kā is dil se Dar utārte haiñ
phir ek din mujhe tajsīm kar ke bolā 'azān'
ham apne fan meñ faqat bā-hunar utārte haiñ
kitab-e-zist ka dhundla cower utarte hain
ab is maqam pe gard-e-safar utarte hain
KHizan ka jo bhi hua tha asar utarte hain
chaman ke phul chaman ki nazar utarte hain
dikhaen kaise manazir ufaq ke aankhon ko
chalo zamin pe shams-o-qamar utarte hain
lahu mein utra hai aaseb is liye hum ab
lahu nichoD ke har ek shar utarte hain
ek aasman jise kah rahe hain log abhi
kahenge kya wo zamin par agar utarte hain
agar ki KHwab ki ta۔bir dekhni ho hamein
to pahle aankh se sare bhanwar utarte hain
gham-e-jahan gham-e-yar do kinare hain
to dekhiye ye thapeDe kidhar utarte hain
KHud apne hone se inkar kar diya hum ne
yun apne hone ka is dil se Dar utarte hain
phir ek din mujhe tajsim kar ke bola 'azan'
hum apne fan mein faqat ba-hunar utarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.