kitab-e-zist ke auraq-e-tar-tar ke nam
kitāb-e-zīst ke aurāq-e-tār-tār ke naam
maiñ intisāb huuñ ḳhud apne intishār ke naam
vo umr bhar jise Dhoyā rah-e-tajassus meñ
mirā ġhubār-e-badan hai usī savār ke naam
usī kī pusht pe ik tāq-e-be-charāġh bhī hai
vo ek dar jo hai ḳhurshīd-e-kāmgār ke naam
vahī makān jise ishq ne banāyā thā
havas ne kar diyā us ko bhī kam-ayār ke naam
tabāh kar ga.ī jis ko havā-e-garm 'ziyā'
mirā asāsa-e-ġham hai usī bahār ke naam
kitab-e-zist ke auraq-e-tar-tar ke nam
main intisab hun KHud apne intishaar ke nam
wo umr bhar jise Dhoya rah-e-tajassus mein
mera ghubar-e-badan hai usi sawar ke nam
usi ki pusht pe ek taq-e-be-charagh bhi hai
wo ek dar jo hai KHurshid-e-kaamgar ke nam
wahi makan jise ishq ne banaya tha
hawas ne kar diya us ko bhi kam-ayar ke nam
tabah kar gai jis ko hawa-e-garm 'ziya'
mera asasa-e-gham hai usi bahaar ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.