kitab-e-zist ke har bab ka unwan naya dekhe
kitāb-e-zīst ke har baab kā unvāñ nayā dekhe
har ik bujhte diye ko shauq se pāgal havā dekhe
abhī ik kashmakash meñ hai mohabbat dil ko kyā dekhe
ḳhushī dekhe ḳhud apnī yā buzurgoñ kī anā dekhe
chalo achchhā kiyā dil apnā halkā kar liyā tum ne
hameñ bhī ek muddat ho chalī thī aa.ina dekhe
lab-e-sāhil hameñ maujoñ ne jab paTḳhā to raste meñ
bahut se Dūbte maujoñ se laḌte nāḳhudā dekhe
tilsmātī fazā thī jab sahar-dam reg-e-sāhil par
bagūle kī tarah raqsāñ kisī ke naqsh-e-pā dekhe
ḳhud apne aap se bhī baat karnā chhoḌ rakkhā hai
jise jiinā ho tanhā vo hamārā hausla dekhe
'sadaf' ik umr ke baad aaj ham dil khol kar ro.e
zamāna ho chalā thā dil ko ye nikhrī fazā dekhe
kitab-e-zist ke har bab ka unwan naya dekhe
har ek bujhte diye ko shauq se pagal hawa dekhe
abhi ek kashmakash mein hai mohabbat dil ko kya dekhe
KHushi dekhe KHud apni ya buzurgon ki ana dekhe
chalo achchha kiya dil apna halka kar liya tum ne
hamein bhi ek muddat ho chali thi aaina dekhe
lab-e-sahil hamein maujon ne jab paTKHa to raste mein
bahut se Dubte maujon se laDte naKHuda dekhe
tilsmati faza thi jab sahar-dam reg-e-sahil par
bagule ki tarah raqsan kisi ke naqsh-e-pa dekhe
KHud apne aap se bhi baat karna chhoD rakkha hai
jise jina ho tanha wo hamara hausla dekhe
'sadaf' ek umr ke baad aaj hum dil khol kar roe
zamana ho chala tha dil ko ye nikhri faza dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.