kitab-e-zindagi ka har waraq kahne ko sada hai
kitāb-e-zindagī kā har varaq kahne ko saada hai
magar jo kuchh bhī likkhā hai hurūf-e-ḳhūñ meñ likkhā hai
ye saarī shān-o-shaukat kuchh nahīñ nazroñ kā dhokā hai
asāsa āshiyāne kā jise kahte ho tinkā hai
lahū de kar jo sīñchā thā gulistān-e-vafā ham ne
guloñ ke jism se vo rang ban kar phuuT niklā hai
ye merī ḳhush-nasībī hai ki us but ne ba-dast-e-ḳhud
sar-e-fihrist dīvānoñ meñ merā naam likkhā hai
havā.eñ DhūñDhtī phirtī haiñ us mard-e-mujāhid ko
farāz-e-dār par jis ne charāġh-e-zīst rakkhā hai
yaqīnan zaḳhm-e-dil ke saare Tāñke TuuT jā.eñge
tirī nazroñ kā jaadū dil pe sho.ala ban ke lapkā hai
kabhī shahr-e-tamannā meñ to aakar dekh jaate vo
dar-o-dīvār par har samt kis kā naam likkhā hai
sitam kā aur mauqa us ko mil jā.egā ai 'hairat'
isī baa.is vo jiine kī duā.eñ mujh ko detā hai
kitab-e-zindagi ka har waraq kahne ko sada hai
magar jo kuchh bhi likkha hai huruf-e-KHun mein likkha hai
ye sari shan-o-shaukat kuchh nahin nazron ka dhoka hai
asasa aashiyane ka jise kahte ho tinka hai
lahu de kar jo sincha tha gulistan-e-wafa hum ne
gulon ke jism se wo rang ban kar phuT nikla hai
ye meri KHush-nasibi hai ki us but ne ba-dast-e-KHud
sar-e-fihrist diwanon mein mera nam likkha hai
hawaen DhunDhti phirti hain us mard-e-mujahid ko
faraaz-e-dar par jis ne charagh-e-zist rakkha hai
yaqinan zaKHm-e-dil ke sare Tanke TuT jaenge
teri nazron ka jadu dil pe shoala ban ke lapka hai
kabhi shahr-e-tamanna mein to aakar dekh jate wo
dar-o-diwar par har samt kis ka nam likkha hai
sitam ka aur mauqa us ko mil jaega ai 'hairat'
isi bais wo jine ki duaen mujh ko deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.