kitab jalti rahi sahib-e-kitab gaya
kitāb jaltī rahī sāhib-e-kitāb gayā
'ajab sulagtī sī tā'bīr de ke ḳhvāb gayā
'ajīb jhuuT kī ḳhushbū thī mast rahte the
gumāñ kī shāḳh pe baaqī jo thā gulāb gayā
siyāhiyoñ kā samundar hai ab to chāroñ taraf
vo raushnī kā safar muntazir sarāb gayā
hayāt jab bhī kisī imtihāñ se guzrī hai
savāl karne jo aaya thā lā-javāb gayā
thā zaḳhm dil kā magar ḳhūñ-chakāñ huiiñ āñkheñ
vo shaḳhs mar na sakā ḳhuun be-hisāb gayā
badan kī pyaas to jismoñ kā qurb māñge hai
tamīz-e-husn ga.ī zauq-e-intiḳhāb gayā
charāġh din meñ jalāte ho kis liye 'sarshār'
nazar kā nuur gayā hai ki āftāb gayā
kitab jalti rahi sahib-e-kitab gaya
'ajab sulagti si ta'bir de ke KHwab gaya
'ajib jhuT ki KHushbu thi mast rahte the
guman ki shaKH pe baqi jo tha gulab gaya
siyahiyon ka samundar hai ab to chaaron taraf
wo raushni ka safar muntazir sarab gaya
hayat jab bhi kisi imtihan se guzri hai
sawal karne jo aaya tha la-jawab gaya
tha zaKHm dil ka magar KHun-chakan huin aankhen
wo shaKHs mar na saka KHun be-hisab gaya
badan ki pyas to jismon ka qurb mange hai
tamiz-e-husn gai zauq-e-intiKHab gaya
charagh din mein jalate ho kis liye 'sarshaar'
nazar ka nur gaya hai ki aaftab gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.