kitab paDhte rahe aur udas hote rahe
kitāb paḌhte rahe aur udaas hote rahe
ajiib shaḳhs thā jis ke azaab Dhote rahe
koī to baat thī aisī ki is tamāshe par
hañsī bhī aa.ī magar muñh chhupā ke rote rahe
hamī ko shauq thā duniyā ke dekhne kā bahut
ham apnī āñkhoñ meñ ḳhud sūiyāñ chubhote rahe
bas apne-āp ko paane kī justujū thī ki ham
ḳharāb hote rahe aur ḳhud ko khote rahe
zamīñ kī tarah samundar bhī thā safar ke liye
magar ye kyā ki yahāñ kashtiyāñ Dubote rahe
hameñ ḳhabar na huī aur din bhī Duub gayā
chaTaḳhtī dhuup kā bistar bichhā.e sote rahe
kitab paDhte rahe aur udas hote rahe
ajib shaKHs tha jis ke azab Dhote rahe
koi to baat thi aisi ki is tamashe par
hansi bhi aai magar munh chhupa ke rote rahe
hami ko shauq tha duniya ke dekhne ka bahut
hum apni aankhon mein KHud suiyan chubhote rahe
bas apne-ap ko pane ki justuju thi ki hum
KHarab hote rahe aur KHud ko khote rahe
zamin ki tarah samundar bhi tha safar ke liye
magar ye kya ki yahan kashtiyan Dubote rahe
hamein KHabar na hui aur din bhi Dub gaya
chaTaKHti dhup ka bistar bichhae sote rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.