kitna ajib shab ka ye manzar laga mujhe
kitnā 'ajīb shab kā ye manzar lagā mujhe
tāroñ kī saf meñ chāñd suḳhanvar lagā mujhe
sochā to ham-safar mujhe tanhā.iyāñ milīñ
dekhā to āsmān bhī sar par lagā mujhe
tujh se bichhaḌ ke ye mirī āñkhoñ ko kyā huā
jis par nazar paḌī tirā paikar lagā mujhe
ye kis ne aa ke shahr kā naqsha badal diyā
dekhā hai jis kisī ko vo be-ghar lagā mujhe
simTā tirā ḳhayāl to dil meñ samā gayā
phailā to is qadar ki samundar lagā mujhe
'bismil' vo merī jaan kā dushman to thā magar
kyuuñ puurī kā.enāt se behtar lagā mujhe
kitna 'ajib shab ka ye manzar laga mujhe
taron ki saf mein chand suKHanwar laga mujhe
socha to ham-safar mujhe tanhaiyan milin
dekha to aasman bhi sar par laga mujhe
tujh se bichhaD ke ye meri aankhon ko kya hua
jis par nazar paDi tera paikar laga mujhe
ye kis ne aa ke shahr ka naqsha badal diya
dekha hai jis kisi ko wo be-ghar laga mujhe
simTa tera KHayal to dil mein sama gaya
phaila to is qadar ki samundar laga mujhe
'bismil' wo meri jaan ka dushman to tha magar
kyun puri kaenat se behtar laga mujhe
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 549)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.