kitna be-rang hua shahr-e-hunar tere baad
kitnā be-rang huā shahr-e-hunar tere baad
jaane kis ruḳh pe ho lafzoñ kā safar tere baad
kaun ab lab ke tabassum ko kahegā hiirā
kaun barsā.egā lafzoñ ke guhar tere baad
jab bhī girtā hai baḌā peḌ dahaltī hai zamīñ
zindagī dhuup meñ guzregī shajar tere baad
kahkashāñ lafzoñ kī sheroñ meñ milegī kis ke
kaun bāñTegā ḳhayāloñ ke guhar tere ba.ad
sadiyoñ rakkhegī tujhe zinda suḳhan kī ḳhushbū
tazkire hoñge tire shām-o-sahar tere baad
silsila kaun sañbhālegā nuqūsh-e-pā kā
muntazir kis kī hai ab rāhguzar tere baad
ab kahāñ hote haiñ vo sher-o-suḳhan ke charche
be-zabāñ ho gayā tahzīb kā ghar tere baad
munfarid jur.at-e-iz.hār rahegī zinda
ab kahāñ hogā ye uslūb-o-hunar tere baad
tere ash.ār pe sar dhuntī rahegī duniyā
rang laayā hai tirā ḳhūn-e-jigar tere baad
garmī-e-fikr-e-suḳhan se nahīñ inkār 'nazar'
itnī āsāñ bhī nahīñ rāh-guzar tere baad
kitna be-rang hua shahr-e-hunar tere baad
jaane kis ruKH pe ho lafzon ka safar tere baad
kaun ab lab ke tabassum ko kahega hira
kaun barsaega lafzon ke guhar tere baad
jab bhi girta hai baDa peD dahalti hai zamin
zindagi dhup mein guzregi shajar tere baad
kahkashan lafzon ki sheron mein milegi kis ke
kaun banTega KHayalon ke guhar tere baad
sadiyon rakkhegi tujhe zinda suKHan ki KHushbu
tazkire honge tere sham-o-sahar tere baad
silsila kaun sanbhaalega nuqush-e-pa ka
muntazir kis ki hai ab rahguzar tere baad
ab kahan hote hain wo sher-o-suKHan ke charche
be-zaban ho gaya tahzib ka ghar tere baad
munfarid jurat-e-izhaar rahegi zinda
ab kahan hoga ye uslub-o-hunar tere baad
tere ashaar pe sar dhunti rahegi duniya
rang laya hai tera KHun-e-jigar tere baad
garmi-e-fikr-e-suKHan se nahin inkar 'nazar'
itni aasan bhi nahin rah-guzar tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.