kitna dushwar ye sanson ka safar lagta hai
kitnā dushvār ye sāñsoñ kā safar lagtā hai
zindagī ab to tire naam se Dar lagtā hai
pas-e-dīvār paḌosī koī rotā hai agar
apne ehsās kā dāman mujhe tar lagtā hai
jhāñkte haiñ dar-o-dīvār se yādoñ ke nuqūsh
mujh ko āseb-zada apnā hī ghar lagtā hai
taaj rakkhe hue jab dekhe ajā.ib ghar meñ
saath un ke mujhe aslāf kā sar lagtā hai
mujh ko tanhā.ī kā ehsās nahīñ hotā kabhī
vo mere paas nahīñ hotā magar lagtā hai
us se hotī hai 'razā' daad kī ummīd mujhe
bazm meñ jab bhī koī ahl-e-nazar lagtā hai
kitna dushwar ye sanson ka safar lagta hai
zindagi ab to tere nam se Dar lagta hai
pas-e-diwar paDosi koi rota hai agar
apne ehsas ka daman mujhe tar lagta hai
jhankte hain dar-o-diwar se yaadon ke nuqush
mujh ko aaseb-zada apna hi ghar lagta hai
taj rakkhe hue jab dekhe ajaib ghar mein
sath un ke mujhe aslaf ka sar lagta hai
mujh ko tanhai ka ehsas nahin hota kabhi
wo mere pas nahin hota magar lagta hai
us se hoti hai 'raza' dad ki ummid mujhe
bazm mein jab bhi koi ahl-e-nazar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.