kitna hasin KHwab tha aankhon mein rah gaya
kitnā hasīn ḳhvāb thā āñkhoñ meñ rah gayā
vo chehra māhtāb thā āñkhoñ meñ rah gayā
maiñ jaise koī ḳhaar thā chubhne lagā use
vo to koī gulāb thā āñkhoñ meñ rah gayā
maiñ ne to terī marzī se bolā thā jhuuT par
jo asl meñ javāb thā āñkhoñ meñ rah gayā
lauTā diye haiñ us ne mire ḳhat vaġhaira sab
baaqī kā jo hisāb thā āñkhoñ meñ rah gayā
achchhā thā jo bhī film meñ yuuñ hī guzar gayā
vo scene jo ḳharāb thā āñkhoñ meñ rah gayā
kitna hasin KHwab tha aankhon mein rah gaya
wo chehra mahtab tha aankhon mein rah gaya
main jaise koi KHar tha chubhne laga use
wo to koi gulab tha aankhon mein rah gaya
main ne to teri marzi se bola tha jhuT par
jo asl mein jawab tha aankhon mein rah gaya
lauTa diye hain us ne mere KHat waghaira sab
baqi ka jo hisab tha aankhon mein rah gaya
achchha tha jo bhi film mein yun hi guzar gaya
wo scene jo KHarab tha aankhon mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.