kitna israr saya karte hain
kitnā isrār saaya karte haiñ
jaane vaale nahīñ Thaharte haiñ
jaal le kar maiñ uḌ to jā.ūñ magar
us ke ehsān par kutarte haiñ
aap jo chāheñ faisla deñ deñ
ham kahāñ ehtijāj karte haiñ
hal nikalte haiñ baat karne se
aao baiTho to baat karte
sochte haiñ bahut ḳhirad vaale
un ko pāgal to kar guzarte haiñ
aañkh bharne ke baad tere ḳhvāb
ab mire dil ke kaan bharte haiñ
lag ga.ī hogī aañkh us kī 'samīr'
ik dafa.a aur call karte haiñ
kitna israr saya karte hain
jaane wale nahin Thaharte hain
jal le kar main uD to jaun magar
us ke ehsan par kutarte hain
aap jo chahen faisla den den
hum kahan ehtijaj karte hain
hal nikalte hain baat karne se
aao baiTho to baat karte
sochte hain bahut KHirad wale
un ko pagal to kar guzarte hain
aankh bharne ke baad tere KHwab
ab mere dil ke kan bharte hain
lag gai hogi aankh us ki 'samir'
ek dafa aur call karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.