kitna kuchh yun tere honThon se bayan hota hai
kitnā kuchh yuuñ tire hoñThoñ se bayāñ hotā hai
honā hotā hai tujhe jab tū kahāñ hotā hai
raat meñ koī zarūr aatā to hai mere paas
sub.h uThtā huuñ to māthe pe nishāñ hotā hai
rishtoñ meñ chāhiye dariyā kī tarah āzādī
sirf jo pyaas miTātā hai kuaañ hotā hai
ḳhud se kahnā paḌā har baar ye dil TūTne par
hotā hai hotā hai aisā mirī jaañ hotā hai
ho haqīqat burī kitnī bhī haqīqat hī hai
ho gumāñ kitnā bhī achchhā vo gumāñ hotā hai
kitna kuchh yun tere honThon se bayan hota hai
hona hota hai tujhe jab tu kahan hota hai
raat mein koi zarur aata to hai mere pas
subh uThta hun to mathe pe nishan hota hai
rishton mein chahiye dariya ki tarah aazadi
sirf jo pyas miTata hai kuan hota hai
KHud se kahna paDa har bar ye dil TuTne par
hota hai hota hai aisa meri jaan hota hai
ho haqiqat buri kitni bhi haqiqat hi hai
ho guman kitna bhi achchha wo guman hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.