kitna main aur chal ke dikhaun mere KHuda
kitnā maiñ aur chal ke dikhā.ūñ mire ḳhudā
dukhne lage haiñ ab mire paañv mire ḳhudā
har pal kī dhuup mere badan ko jalā na de
likh de mire nasīb meñ chhāñv mire ḳhudā
phir kyā mujhe parinde banā leñge apnā dost
ghar meñ agar maiñ peḌ lagā.ūñ mire ḳhudā
har shaḳhs apne aap meñ gum ho ke rah gayā
aise meñ ab maiñ kis ko bulā.ūñ mire ḳhudā
so.e nahīñ ye log to murda haiñ sab ke sab
in ko batā maiñ kaise jagā.ūñ mire ḳhudā
tujh ko ye nāgavār guzarnā hai varna maiñ
shikva karūñ tamāshā lagā.ūñ mire ḳhudā
koshish yahī hai merī jahāñ bhī añdherā ho
pahlā diyā vahāñ maiñ jalā.ūñ mire ḳhudā
kitna main aur chal ke dikhaun mere KHuda
dukhne lage hain ab mere panw mere KHuda
har pal ki dhup mere badan ko jala na de
likh de mere nasib mein chhanw mere KHuda
phir kya mujhe parinde bana lenge apna dost
ghar mein agar main peD lagaun mere KHuda
har shaKHs apne aap mein gum ho ke rah gaya
aise mein ab main kis ko bulaun mere KHuda
soe nahin ye log to murda hain sab ke sab
in ko bata main kaise jagaun mere KHuda
tujh ko ye nagawar guzarna hai warna main
shikwa karun tamasha lagaun mere KHuda
koshish yahi hai meri jahan bhi andhera ho
pahla diya wahan main jalaun mere KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.