kitna majbur ho gaya hun main
kitnā majbūr ho gayā huuñ maiñ
tujh se jo duur ho gayā huuñ maiñ
ek din us ne chhū liyā thā mujhe
ḳhaak se nuur ho gayā huuñ maiñ
khīñchte haiñ mujhe ye dār-o-rasan
jaise mansūr ho gayā huuñ maiñ
merī gumnāmiyoñ ke charche haiñ
kitnā mash.hūr ho gayā huuñ maiñ
kyā talabgār hai koī merā
jalva-e-tūr ho gayā huuñ maiñ
us kī āñkhoñ ke jaam pī pī pī kar
rind-e-maḳhmūr ho gayā huuñ maiñ
kitna majbur ho gaya hun main
tujh se jo dur ho gaya hun main
ek din us ne chhu liya tha mujhe
KHak se nur ho gaya hun main
khinchte hain mujhe ye dar-o-rasan
jaise mansur ho gaya hun main
meri gumnamiyon ke charche hain
kitna mashhur ho gaya hun main
kya talabgar hai koi mera
jalwa-e-tur ho gaya hun main
us ki aankhon ke jam pi pi pi kar
rind-e-maKHmur ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.