kitna raushan tera shabab hua
kitnā raushan tirā shabāb huā
jalva mānind-e-āftāb huā
ab to dil ko zarā qarār nahīñ
dil lagānā bhī ik azaab huā
baiTh kar ab muhāsba karnā
tum se kitnā gunah savāb huā
lams paate hī un ke hoñToñ kā
thā jo paanī vahī sharāb huā
hoñT apne haiñ daañt bhī apne
jaane do jo huā janāb huā
zaḳhm us ne hameñ diye itne
us kā ab tak na kuchh hisāb huā
jo na bhātā thā ek pal 'rāmish'
vahī lākhoñ meñ intiḳhāb huā
kitna raushan tera shabab hua
jalwa manind-e-aftab hua
ab to dil ko zara qarar nahin
dil lagana bhi ek azab hua
baiTh kar ab muhasba karna
tum se kitna gunah sawab hua
lams pate hi un ke honTon ka
tha jo pani wahi sharab hua
honT apne hain dant bhi apne
jaane do jo hua janab hua
zaKHm us ne hamein diye itne
us ka ab tak na kuchh hisab hua
jo na bhata tha ek pal 'ramish'
wahi lakhon mein intiKHab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.