kitna wo parsa sa lagta hai
kitnā vo pārsā sā lagtā hai
aadmī devtā sā lagtā hai
pūchh letā hai hāl-e-dil merā
ajnabī āshnā sā lagtā hai
log kahte haiñ us ko dīvāna
aadmī to bhalā sā lagtā hai
aap sā ham-safar jo mil jaa.e
rāsta rāsta sā lagtā hai
gard ġham kī agar na jamne paa.e
dil bhī ik aa.ina sā lagtā hai
jaise patthar ke but tarāshe hoñ
har badan khurdurā sā lagtā hai
jis kā charchā hai saarī bastī meñ
vo koī dil-jalā sā lagtā hai
ek maiñ hī nahīñ luTā huuñ 'ra.īs'
kārvāñ bhī luTā sā lagtā he
kitna wo parsa sa lagta hai
aadmi dewta sa lagta hai
puchh leta hai haal-e-dil mera
ajnabi aashna sa lagta hai
log kahte hain us ko diwana
aadmi to bhala sa lagta hai
aap sa ham-safar jo mil jae
rasta rasta sa lagta hai
gard gham ki agar na jamne pae
dil bhi ek aaina sa lagta hai
jaise patthar ke but tarashe hon
har badan khurdura sa lagta hai
jis ka charcha hai sari basti mein
wo koi dil-jala sa lagta hai
ek main hi nahin luTa hun 'rais'
karwan bhi luTa sa lagta he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.