kitna zalim meri chahat ka muqaddar nikla
kitnā zālim mirī chāhat kā muqaddar niklā
maiñ jise aa.ina samjhā thā vo patthar niklā
sej phūloñ kī samajhtā thā tire saath jise
terī furqat meñ vo kāñToñ-bharā bistar niklā
yād-e-jānāñ meñ lagī dhuup bhī saa.e kī tarah
yād-e-jānāñ meñ kabhī ghar se jo bāhar niklā
haiñ hasīñ aur bhī lekin jise chāhā maiñ ne
merī nazroñ meñ vo har ek se baḌh kar niklā
jo ki dozaḳh thī vo jannat nazar aa.ī duniyā
jab bhī mai-ḳhāne se bāhar kabhī pī kar niklā
ishq-e-lailā ke sabab ho gayā kitnā mash.hūr
qais bhī kitnā muqaddar kā sikandar niklā
naaz thā mujh ko bahut apnī anā par lekin
ḳhud ko jab parkhā to maiñ auroñ se kamtar niklā
duur se mujh ko samundar bhī lagā misl-e-sarāb
paas se dekhā to qatra bhī samundar niklā
kaun ḳhush-baḳht zamāne se aTā hai yaaro
tazkira kis kī ajal kā hai jo ghar ghar niklā
chashm-e-bīnā se 'zafar' dekhā to mahsūs huā
ya.anī har zarra bhī ḳhurshīd kā paikar niklā
kitna zalim meri chahat ka muqaddar nikla
main jise aaina samjha tha wo patthar nikla
sej phulon ki samajhta tha tere sath jise
teri furqat mein wo kanTon-bhara bistar nikla
yaad-e-jaanan mein lagi dhup bhi sae ki tarah
yaad-e-jaanan mein kabhi ghar se jo bahar nikla
hain hasin aur bhi lekin jise chaha main ne
meri nazron mein wo har ek se baDh kar nikla
jo ki dozaKH thi wo jannat nazar aai duniya
jab bhi mai-KHane se bahar kabhi pi kar nikla
ishq-e-laila ke sabab ho gaya kitna mashhur
qais bhi kitna muqaddar ka sikandar nikla
naz tha mujh ko bahut apni ana par lekin
KHud ko jab parkha to main auron se kamtar nikla
dur se mujh ko samundar bhi laga misl-e-sarab
pas se dekha to qatra bhi samundar nikla
kaun KHush-baKHt zamane se aTa hai yaro
tazkira kis ki ajal ka hai jo ghar ghar nikla
chashm-e-bina se 'zafar' dekha to mahsus hua
yani har zarra bhi KHurshid ka paikar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.