kitne aKHbar-faroshon ko sahafi likkha
kitne aḳhbār-faroshoñ ko sahāfī likkhā
nā-mukammal ko bhī ḳhādim ne izāfī likkhā
tū ne bhūle se na samjhī mire jazbe kī kasak
maiñ ne barsoñ tirī āñkhoñ ko ġhilāfī likkhā
haath uThā sakte the mere bhī baġhāvat kā alam
maiñ ne har zulm ke ḳhāne maiñ muāfī likkhā
ishq kī ḳhair ho allāh ki nā-shukroñ ne
ik adhūrī sī mulāqāt ko kaafī likkhā
aap duniyā ko samajhte raheñ sāmān-e-tarab
maiñ ne sāñsoñ ko gunāhoñ kī talāfī likkhā
vo hī kartā rahā andar se malāmat mujh ko
maiñ ne jo lafz usūloñ ke munāfī likkhā
bevaqūfoñ ne mirī ābla-pā.ī kā ilaaj
hañsī aatī hai ki hamdard kī saafī likkhā
kitne aKHbar-faroshon ko sahafi likkha
na-mukammal ko bhi KHadim ne izafi likkha
tu ne bhule se na samjhi mere jazbe ki kasak
main ne barson teri aankhon ko ghilafi likkha
hath uTha sakte the mere bhi baghawat ka alam
main ne har zulm ke KHane main muafi likkha
ishq ki KHair ho allah ki na-shukron ne
ek adhuri si mulaqat ko kafi likkha
aap duniya ko samajhte rahen saman-e-tarab
main ne sanson ko gunahon ki talafi likkha
wo hi karta raha andar se malamat mujh ko
main ne jo lafz usulon ke munafi likkha
bewaqufon ne meri aabla-pai ka ilaj
hansi aati hai ki hamdard ki safi likkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.