kitne anjaan jaziron mein mujhe le ke chala
kitne anjān jazīroñ meñ mujhe le ke chalā
dil ki an-dekhe zamānoñ meñ mujhe le ke chalā
maiñ ne kyā rañg sajā.e the tire ḳhvāboñ meñ
aur tū kaise sarāboñ meñ mujhe le ke chalā
be-ridā.ī ke bhī din dekhne vaale the ki jab
hākim-e-vaqt asīroñ meñ mujhe le ke chalā
use ma.alūm thā nisbat mirī sādāt se hai
jo baraste hue tīroñ meñ mujhe le ke chalā
jab bhī kholā hai da-e-shahr-e-masarrat to koī
phir se nāshād jahānoñ meñ mujhe le ke chalā
dil ko be-rañg sī mahfil hī faqat bhātī thī
vahī vīrān se chehroñ meñ mujhe le ke chalā
jā rahī thī maiñ kidhar ko magar ai umr-e-ravāñ
vaqt ye kaun se lamhoñ meñ mujhe le ke chalā
kitne anjaan jaziron mein mujhe le ke chala
dil ki an-dekhe zamanon mein mujhe le ke chala
main ne kya rang sajae the tere KHwabon mein
aur tu kaise sarabon mein mujhe le ke chala
be-ridai ke bhi din dekhne wale the ki jab
hakim-e-waqt asiron mein mujhe le ke chala
use malum tha nisbat meri sadat se hai
jo baraste hue tiron mein mujhe le ke chala
jab bhi khola hai da-e-shahr-e-masarrat to koi
phir se nashad jahanon mein mujhe le ke chala
dil ko be-rang si mahfil hi faqat bhati thi
wahi viran se chehron mein mujhe le ke chala
ja rahi thi main kidhar ko magar ai umr-e-rawan
waqt ye kaun se lamhon mein mujhe le ke chala
- Book : Masaafat Raigaan Thi (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.